Hamesha Der Ker Deta Hun Main Munir Niazi

Hamesha Der Ker Deta Hun Main Munir Niazi: (ھمیشہ دیر کر دیتا ھوں میں ) This is the most sung poem of Munir Niazi. It will not be wrong to state that he is remembered in Urdu Poetry for his this single poem. A great poem indeed. Read and enjoy the dejection of a person that feels he has never been on time in life. The gloom speaks volumes when we recite the poem and it appears that it is not Munir Niazi rather it is us that utter passionately that: “Hamesha der kar deta hun main”. There is a picture added for the poem in pure urdu while a roman text is also placed below.

 

Hamesha Der Kar Deta Hun Main

Hamesha Der Kar Deta Hun Main

 

Hamesha der kar deta hun main

Hamesha der kar deta hun main
zaruri bat kehni ho
koi wada nibhana ho
usay awaz deni ho
usay wapis bulana ho
hamesha der kar deta hun main

madad karni ho uski
yar ki dharas bandhani ho
bohat dereena raston par
kisi se milny jana ho
hamesha der kar deta hun main

badaltay mausamon ki ser main dil ko lagana ho
kisi ko yad rakhna ho
kisi ko bhool jana ho
hamesha der kar deta hun main

kisi ko maut say pehlay
kisi gham say bachana ho
haqiqat aur thi kuch
us ko ja kay ye batana ho
hamesha der kar deta hun main

 

 

Leave a Reply