Habib Jalib Social Poetry

Habib Jalib Social Poetry

Ab rahen chain say bedard zamany waly, so gaye khwab say logon ko dikhany walay

Ab rahen chain say bedard zamany waly,
so gaye khwab say logon ko dikhany walay

Aisay ilfaz na auraq e lughat main hon gay, jin say insan ki toheen ka pehloo niklay, aisay afqar bhi zinda na rahen gay jin say, chand logon he ki taskeen ka pehloo niklay

Aisay ilfaz na auraq e lughat main hon gay, jin say insan ki toheen ka pehloo niklay, aisay afqar bhi zinda na rahen gay jin say,
chand logon he ki taskeen ka pehloo niklay

Guman tum ko k rasta kat raha hy, yaqeen muj ko k rasta kho rahay ho

Guman tum ko k rasta kat raha hy,
yaqeen muj ko k rasta kho rahay ho

Hamen yaqen hy k insan us ko payara hy, khuda tumhara nahi hy khuda hamara hy

Hamen yaqen hy k insan us ko payara hy,
khuda tumhara nahi hy khuda hamara hy

Kisy ka haq hy samandar p aur koi payasa, ye kya hay kyun hy ye alam ye sochtay hain ham

Kisy ka haq hy samandar p aur koi payasa,
ye kya hay kyun hy ye alam ye sochtay hain ham

In bastyon main rasm wafa khatm ho chuky, aye chashm nam kisy say na kar arz gham yahan

In bastyon main rasm wafa khatm ho chuky,
aye chashm nam kisy say na kar arz gham yahan

Leave a Reply