Nasir Kazmi Sad Poetry

Pages: 1 2 3 4

Din bhi udas aur meri rat bhi udas,  aisa to waqt aye gham e doran kabhi na tha

Din bhi udas aur meri rat bhi udas,
aisa to waqt aye gham e doran kabhi na tha

Hal e dil ham bhi sunatay nasir,  jab wo rukhsat huwa tab yad aya

Hal e dil ham bhi sunatay nasir,
jab wo rukhsat huwa tab yad aya

Hawaye subha nay chonka dia yun,  teri awaz jesy choo kay guzri

Hawaye subha nay chonka dia yun,
teri awaz jesy choo kay guzri

Hoti hy teray nam se wehshat kabhi kabhi,  barham huwi hy yun bhi tabiyat kabhi kabhi – Nasir Kazmi

Hoti hy teray nam se wehshat kabhi kabhi,
barham huwi hy yun bhi tabiyat kabhi kabhi – Nasir Kazmi

Jahan koi basti nazar aagye,  wahen ruk gaye ajnabi qaflay

Jahan koi basti nazar aagye,
wahen ruk gaye ajnabi qaflay

Jinhen ham dekh kar jeetay thay nasir,  wo log aankhon se ojhal ho gaye hain

Jinhen ham dekh kar jeetay thay nasir,
wo log aankhon se ojhal ho gaye hain

Joshe janun main dard ki tughyanion kay sath,  ashkon main dhal gaye teri soorat kabhi kabhi

Joshe janun main dard ki tughyanion kay sath,
ashkon main dhal gaye teri soorat kabhi kabhi

Kabhi kabhi jo tery qurb main guzaray thay,  ab un dinon ka tasawur bhi mery pas nahi

Kabhi kabhi jo tery qurb main guzaray thay,
ab un dinon ka tasawur bhi mery pas nahi

Pages: 1 2 3 4

Leave a Reply